mirī  ḳhaak  us  ne  bikher  dī  sar-e-rah  ġhubār  banā  diyā
maiñ  jab  aa  sakā  na  shumār  meñ  mujhe  be-shumār  banā  diyā
tirā  naqsh  utrā  sar-e-varaq  to  tasarruf-e-lab-o-chashm  se
bhare  rañg  maiñ  ne  kuchh  is  tarah  ise  shāhkār  banā  diyā
tire  juzv  juzv  ḳhayāl  ko  rag-e-jāñ  meñ  puurā  utaar  kar
vo  jo  baar  baar  kī  shakl  thī  use  ek  baar  banā  diyā
mujhe  nañg-e-naqsh  hī  kab  kiyā  bharīñ  us  ne  aisī  siyāhiyāñ
ki  mire  hī  kūcha  o  shahr  meñ  mujhe  ishtihār  banā  diyā
ye  nahīñ  ki  us  ne  durīda-tan  sar-e-naḳhl-e-ḳhār  piro  diyā
mirī  dhajjiyoñ  ko  bhī  khīñch  kar  mujhe  taar  taar  banā  diyā