Hosh Tirmizi

pas-e-namus-e-tamanna har ek aazar mein tha

Hosh Tirmizi

pās-e-nāmūs-e-tamannā har ik āzār meñ thā

nashsha-e-nig.hat-e-gul bhī ḳhalish-e-ḳhār meñ thā

kis se kahiye ki zamāne ko garāñ guzrā hai

vo fasāna ki mirī hasrat-e-guftār meñ thā

dil ki aatā nahīñ tark-e-tamannā taraf

koī iqrār pahlū tire inkār meñ thā

kuchh tujhe yaad hai ai chashm-e-zuleḳhā-e-jahāñ

ham yūsuf bhī koī misr ke bāzār meñ thā

zindagī na sakī shām-o-sahar se aage

saarā aalam isī ā.īna-e-takrār meñ thā

umr bhar chashm-e-tamāshā ko rahī jis talāsh

'hosh' vo husn-e-gurezāñ mire ash.ār meñ thā

Top Urdushayar.com