Saulat Zaidi

taswir-e-dost fikr-e-mujassam bani rahi

Saulat Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936
tasvīr-e-dost fikr-e-mujassam banī rahī
maiñ us se boltā rahā vo sochtī rahī
kal shab tasavvurāt kī mahfil sajī rahī
jab tak tumhārā zikr rahā chāñdnī rahī
shāyad samajh rahī thī use bhī koī charāġh
jugnū ke pīchhe tez havā dauḌtī rahī
paanī kā intizām thā ġhairoñ ke haath meñ
yuuñ bhī gharoñ meñ aag hamāre lagī rahī
puurī huī na sar ko kaTāne kī aarzū
kāñdhoñ pe mere dil kī tamannā rukī rahī
phir aglī jañg laḌnā magar is shikast meñ
ye sochnā paḌegā kahāñ kyā kamī rahī
thī un ko sirf ek nazar dekhne kī baat
jo harf-e-āḳhirī kī tarah āḳhirī rahī
ulfat meñ haar jiit kā lagtā nahīñ pata
vo shart jo lagī bhī nahīñ thī lagī rahī
'saulat' kamī tumhārī agar hai to maan lo
kab tak yahī kahoge ki qismat burī rahī
Top Urdushayar.com