Saulat Zaidi

fikr-e-naqqad-e-adab dirham-o-dinar mein hai

Saulat Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936

fikr-e-naqqād-e-adab dirham-o-dīnār meñ hai

kaun jins-e-suḳhan kūcha-o-bāzār meñ hai

garmī-e-husn mirī garmī-e-afkār meñ hai

vo agar mujh meñ nahīñ hai mire ash.ār meñ hai

pā-ba-zanjīr mujhe laakh zamāna samjhe

mire qadmoñ dhamak vaqt raftār meñ hai

raat qaabū meñ rahe shahr ke hālāt magar

laash ik lipTī huī sub.h ke aḳhbār meñ hai

koī āvāra jhoñkā koī bāġhī ḳhayāl

jis se maiñ ḳhauf-zada huuñ mire ash.ār meñ hai

kal isī ghar meñ ġhazal us ne sunā.ī hogī

jānī-pahchānī ḳhushbū dar-o-dīvār meñ hai

sāhil-e-maslahat-e-vaqt mujhe jaane de

us safīne ne pukārā hai jo majdhār meñ hai

vo mohabbat mujāhid vo muravvat shahīd

kal 'saulat' abhī zinda mire afkār meñ hai

Top Urdushayar.com