tohmat-e-chand  apne  zimme  dhar  chale
jis  liye  aa.e  the  so  ham  kar  chale
zindagī  hai  yā  koī  tūfān  hai
ham  to  is  jiine  ke  hāthoñ  mar  chale
kyā  hameñ  kaam  in  guloñ  se  ai  sabā
ek  dam  aa.e  idhar  ūdhar  chale
dosto  dekhā  tamāshā  yaañ  kā  sab
tum  raho  ḳhush  ham  to  apne  ghar  chale
aah  bas  mat  jī  jalā  tab  jāniye
jab  koī  afsūñ  tirā  us  par  chale
ek  maiñ  dil-resh  huuñ  vaisā  hī  dost
zaḳhm  kitnoñ  ke  sunā  hai  bhar  chale
sham.a  ke  mānind  ham  is  bazm  meñ
chashm-tar  aa.e  the  dāman-e-tar  chale
DhūñDhte  haiñ  aap  se  us  ko  pare
shaiḳh  sāhab  chhoḌ  ghar  bāhar  chale
ham  na  jaane  paa.e  bāhar  aap  se
vo  hī  aaḌe  aa  gayā  jīdhar  chale
ham  jahāñ  meñ  aa.e  the  tanhā  vale
saath  apne  ab  use  le  kar  chale
juuñ  sharar  ai  hastī-e-be-būd  yaañ
baare  ham  bhī  apnī  baarī  bhar  chale
sāqiyā  yaañ  lag  rahā  hai  chal-chalāv
jab  talak  bas  chal  sake  sāġhar  chale
'dard'  kuchh  ma.alūm  hai  ye  log  sab
kis  taraf  se  aa.e  the  kīdhar  chale