mirā  jī  hai  jab  tak  tirī  justujū  hai
zabāñ  jab  talak  hai  yahī  guftugū  hai
ḳhudā  jaane  kyā  hogā  anjām  is  kā
maiñ  be-sabr  itnā  huuñ  vo  tund-ḳhū  hai
tamannā  tirī  hai  agar  hai  tamannā
tirī  aarzū  hai  agar  aarzū  hai
kiyā  sair  sab  ham  ne  gulzār-e-duniyā
gul-e-dostī  meñ  ajab  rañg-o-bū  hai
ġhanīmat  hai  ye  diid  va  dīd-e-yārāñ
jahāñ  aañkh  muñd  ga.ī  na  maiñ  huuñ  na  tū  hai
nazar  mere  dil  kī  paḌī  'dard'  kis  par
jidhar  dekhtā  huuñ  vahī  rū-ba-rū  hai