un  ne  kiyā  thā  yaad  mujhe  bhuul  kar  kahīñ
paatā  nahīñ  huuñ  tab  se  maiñ  apnī  ḳhabar  kahīñ
aa  jaa.e  aise  jiine  se  apnā  to  jī  ba-tañg
jiitā  rahegā  kab  talak  ai  ḳhizr  mar  kahīñ
phirtī  rahī  taḌaptī  hī  aalam  meñ  jā-ba-jā
dekhā  na  merī  aah  ne  rū-e-asar  kahīñ
muddat  talak  jahān  meñ  hañste  phirā  kiye
jī  meñ  hai  ḳhuub  roiye  ab  baiTh  kar  kahīñ
yuuñ  to  nazar  paḌe  haiñ  dil-afgār  aur  bhī
dil  riish  koī  aap  sā  dekhā  na  par  kahīñ
zālim  jafā  jo  chāhe  so  kar  mujh  pe  tū  vale
pachhtāve  phir  to  aap  hī  aisā  na  kar  kahīñ
phirte  to  ho  banā.e  saj  apnī  jidhar  tidhar
lag  jaave  dekhiyo  na  kasū  kī  nazar  kahīñ
pūchhā  maiñ  dard  se  ki  batā  tū  sahī  mujhe
ai  ḳhānumāñ-ḳharāb  hai  tere  bhī  ghar  kahīñ
kahne  lagā  makān-e-muayyan  faqīr  ko
lāzim  hai  kyā  ki  ek  hī  jāgah  ho  har  kahīñ
darvesh  har  kujā  ki  shab  aamad  sarā-e-ūst
tū  ne  sunā  nahīñ  hai  ye  misra.a  magar  kahīñ