tujhī  ko  jo  yaañ  jalva-farmā  na  dekhā
barābar  hai  duniyā  ko  dekhā  na  dekhā
mirā  ġhuncha-e-dil  hai  vo  dil  girafta
ki  jis  ko  kisū  ne  kabhū  vā  na  dekhā
yagāna  hai  tū  aah  begānagī  meñ
koī  dūsrā  aur  aisā  na  dekhā
aziyyat  musībat  malāmat  balā.eñ
tire  ishq  meñ  ham  ne  kyā  kyā  na  dekhā
kiyā  muj  ko  dāġhoñ  ne  sarv-e-charāġhāñ
kabhū  tū  ne  aa  kar  tamāshā  na  dekhā
taġhāful  ne  tere  ye  kuchh  din  dikhā.e
idhar  tū  ne  lekin  na  dekhā  na  dekhā
hijāb-e-ruḳh-e-yār  the  aap  hī  ham
khulī  aañkh  jab  koī  pardā  na  dekhā
shab  o  roz  ai  'dard'  dar  pe  huuñ  us  ke
kisū  ne  jise  yaañ  na  samjhā  na  dekhā