madrasa  yā  dair  thā  yā  ka.aba  yā  but-ḳhāna  thā
ham  sabhī  mehmān  the  vaañ  tū  hī  sāhab-ḳhāna  thā
vaa.e  nādānī  ki  vaqt-e-marg  ye  sābit  huā
ḳhvāb  thā  jo  kuchh  ki  dekhā  jo  sunā  afsāna  thā
haif!  kahte  haiñ  huā  gulzār  tārāj-e-ḳhizāñ
āshnā  apnā  bhī  vaañ  ik  sabza-e-begāna  thā
ho  gayā  mehmāñ-sarā-e-kasrat-e-mauhūm  aah
vo  dil-e-ḳhālī  ki  terā  ḳhaas  ḳhalvat-ḳhāna  thā
bhuul  jā  ḳhush  rah  abas  ve  sābiaqe  mat  yaad  kar
'dard'!  ye  mazkūr  kyā  hai  āshnā  thā  yā  na  thā