rabt  hai  nāz-e-butāñ  ko  to  mirī  jaan  ke  saath
jī  hai  vābasta  mirā  un  kī  har  ik  aan  ke  saath
apne  hāthoñ  ke  bhī  maiñ  zor  kā  dīvāna  huuñ
raat  din  kushtī  hī  rahtī  hai  garebān  ke  saath
jo  jafā-jū  haiñ  unheñ  sañg-dilī  lāzim  hai
kaam  talvār  ko  rahtā  hai  sadā  saan  ke  saath
gar  masīhā-nafasī  hai  yahī  mutrib  to  ḳhair
jī  hī  jaate  haiñ  chale  terī  har  ik  taan  ke  saath
'dard'  har-chand  maiñ  zāhir  meñ  to  huuñ  mor-e-za.īf
zor  nisbat  hai  vale  mujh  ko  'sulaimān'  ke  saath