ham  ne  kis  raat  naala  sar  na  kiyā
par  use  aah  kuchh  asar  na  kiyā
sab  ke  haañ  tum  hue  karam-farmā
is  taraf  ko  kabhū  guzar  na  kiyā
kyuuñ  bhaveñ  tānte  ho  banda-navāz
siina  kis  vaqt  maiñ  sipar  na  kiyā
kitne  bandoñ  ko  jaan  se  khoyā
kuchh  ḳhudā  kā  bhī  tū  ne  Dar  na  kiyā
dekhne  ko  rahe  taraste  ham
na  kiyā  rahm  tū  ne  par  na  kiyā
aap  se  ham  guzar  ga.e  kab  ke
kyā  hai  zāhir  meñ  go  safar  na  kiyā
kaun  sā  dil  hai  vo  ki  jis  meñ  aah
ḳhāna-ābād  tū  ne  ghar  na  kiyā
tujh  se  zālim  ke  sāmne  aayā
jaan  kā  maiñ  ne  kuchh  ḳhatar  na  kiyā
sab  ke  jauhar  nazar  meñ  aa.e  'dard'
be-hunar  tū  ne  kuchh  hunar  na  kiyā