qatl-e-āshiq  kisī  ma.ashūq  se  kuchh  duur  na  thā
par  tire  ahd  se  aage  to  ye  dastūr  na  thā
raat  majlis  meñ  tire  husn  ke  sho.ale  ke  huzūr
sham.a  ke  muñh  pe  jo  dekhā  to  kahīñ  nuur  na  thā
zikr  merā  hī  vo  kartā  thā  sarīhan  lekin
maiñ  ne  pūchhā  to  kahā  ḳhair  ye  mazkūr  na  thā
bāvajūde  ki  par-o-bāl  na  the  aadam  ke
vahāñ  pahuñchā  ki  farishte  kā  bhī  maqdūr  na  thā
parvarish  ġham  kī  tire  yaañ  ta.iiñ  to  kī  dekhā
koī  bhī  daaġh  thā  siine  meñ  ki  nāsūr  na  thā
mohtasib  aaj  to  mai-ḳhāne  meñ  tere  hāthoñ
dil  na  thā  koī  ki  shīshe  kī  tarah  chuur  na  thā
'dard'  ke  milne  se  ai  yaar  burā  kyuuñ  maanā
us  ko  kuchh  aur  sivā  diid  ke  manzūr  na  thā