mizhgān-e-tar  huuñ  yā  rag-e-tāk-e-burīda  huuñ
jo  kuchh  ki  huuñ  so  huuñ  ġharaz  āfat-rasīda  huuñ
khīñche  hai  duur  aap  ko  merī  farotanī
uftāda  huuñ  pa  sāya-e-qadd-e-kashīda  huuñ
har  shaam  misl-e-shām  huuñ  maiñ  tīra-rozgār
har  sub.h  misl-e-sub.h  garebāñ-darīda  huuñ
kartī  hai  bū-e-gul  tū  mire  saath  iḳhtilāt
par  aah  maiñ  to  mauj-e-nasīm-e-dazīda  huuñ
tū  chāhtī  hai  to  tapish-e-dil  ki  ba.ad-e-marg
kunj-e-mazār  meñ  bhī  na  maiñ  ārmīda  huuñ
ai  'dard'  jā  chukā  hai  mirā  kaam  zabt  se
maiñ  ġham-zada  to  qatra-e-ashk-e-chakīda  huuñ