jag  meñ  aa  kar  idhar  udhar  dekhā
tū  hī  aayā  nazar  jidhar  dekhā
jaan  se  ho  ga.e  badan  ḳhālī
jis  taraf  tū  ne  aañkh  bhar  dekhā
naala  fariyād  aah  aur  zaarī
aap  se  ho  sakā  so  kar  dekhā
un  laboñ  ne  na  kī  masīhā.ī
ham  ne  sau  sau  tarah  se  mar  dekhā
zor  āshiq-mizāj  hai  koī
'dard'  ko  qissa  muḳhtasar  dekhā