arz-o-samā  kahāñ  tirī  vus.at  ko  pā  sake
merā  hī  dil  hai  vo  ki  jahāñ  tū  samā  sake
vahdat  meñ  terī  harf  duī  kā  na  aa  sake
ā.īna  kyā  majāl  tujhe  muñh  dikhā  sake
maiñ  vo  fatāda  huuñ  ki  baġhair-az-fanā  mujhe
naqsh-e-qadam  kī  tarah  na  koī  uThā  sake
qāsid  nahīñ  ye  kaam  tirā  apnī  raah  le
us  kā  payām  dil  ke  sivā  kaun  lā  sake
ġhāfil  ḳhudā  kī  yaad  pe  mat  bhuul  zīnhār
apne  ta.iiñ  bhulā  de  agar  tū  bhulā  sake
yā-rab  ye  kyā  tilism  hai  idrāk-o-fahm  yaañ
dauḌe  hazār  aap  se  bāhar  na  jā  sake
go  bahs  kar  ke  baat  bi.Thā.ī  bhī  kyā  husūl
dil  se  uThā  ġhilāf  agar  tū  uThā  sake
itfā-e-nār-e-ishq  na  ho  āb-e-ashk  se
ye  aag  vo  nahīñ  jise  paanī  bujhā  sake
mast-e-sharāb-e-ishq  vo  be-ḳhud  hai  jis  ko  hashr
ai  'dard'  chāhe  laa.e  ba-ḳhud  par  na  lā  sake