chaman  meñ  sub.h  ye  kahtī  thī  ho  kar  chashm-e-tar  shabnam
bahār-e-bāġh  go  yuuñ  hī  rahī  lekin  kidhar  shabnam
araq  kī  buuñd  us  kī  zulf  se  ruḳhsār  par  Tapkī
ta.ajjub  kī  hai  jāgah  ye  paḌī  ḳhurshīd  par  shabnam
hameñ  to  baaġh  tujh  bin  ḳhāna-e-mātam  nazar  aayā
idhar  gul  phāḌte  the  jaib  rotī  thī  udhar  shabnam
kare  hai  kuchh  se  kuchh  tāsīr-e-sohbat  saaf  tabaoñ  kī
huī  ātish  se  gul  kī  baiThte  rashk-e-sharar  shabnam
bhalā  Tuk  sub.h  hone  do  ise  bhī  dekh  leveñge
kisī  āshiq  ke  rone  se  nahīñ  rakhtī  ḳhabar  shabnam
nahīñ  asbāb  kuchh  lāzim  subuksāroñ  ke  uThne  ko
ga.ī  uḌ  dekhte  apne  baġhair-az-bāl-o-par  shabnam
na  paayā  jo  gayā  is  baaġh  se  hargiz  surāġh  us  kā
na  palTī  phir  sabā  īdhar  na  phir  aa.ī  nazar  shabnam
na  samjhā  'dard'  ham  ne  bhed  yaañ  kī  shādī  o  ġham  kā
sahar  ḳhandāñ  hai  kyuuñ  rotī  hai  kis  ko  yaad  kar  shabnam