milā.ūñ  kis  kī  āñkhoñ  se  maiñ  apnī  chashm-e-hairāñ  ko
ayaañ  jab  har  jagah  dekhūñ  usī  ke  nāz-e-pinhāñ  ko
tujhe  ai  sham.a  kyā  dekheñ  zamāne  ko  dikhānā  hai
hameñ  juuñ  kāġhaz-e-ātish-zada  aur  hī  charāġhāñ  ko
na  tanhā  kuchh  yahī  atfāl  dushman  haiñ  divānoñ  ke
bhare  hai  koh  bhī  dekhā  to  yaañ  pattharoñ  se  dāmāñ  ko
jhamakte  haiñ  sitāroñ  kī  tarah  surāḳh  hastī  ke
chhupāyā  go  ki  juuñ  ḳhurshīd  meñ  dāġh-e-numāyāñ  ko
na  vājib  hī  kahā  jaave  na  sādiq  mumtanā  us  par
kiyā  tashḳhīs  kuchh  ham  ne  na  hargiz  shaḳhs-e-imkāñ  ko