in  āñkhoñ  meñ  basā  koī  zohra-jabīñ  hai  ab
muztar  kuchh  aisā  dil  hai  Thahartā  nahīñ  hai  ab
bachpan  hī  se  the  rashk-e-hasīnān-e-dil-fareb
ahd-e-shabāb  un  kā  ġhazab  dil-nashīñ  hai  ab
dildār  mere  haañ  se  bahut  mushta.il  gayā
ai  dil  samajh  le  ḳhair  adū  kī  nahīñ  hai  ab
āshiq  tumhārā  kahte  haiñ  dekhā  nahīñ  kabhī
ya.anī  tumhārī  yaad  meñ  ḳhalvat-guzīñ  hai  ab
kaafī  hai  tere  haath  kā  chhallā  yahī  mujhe
kuchh  ḳhātim-e-sulaimāñ  kī  hasrat  nahīñ  hai  ab
afsāna  merā  sun  ke  pashemāñ  hai  chashm-e-yār
kis  darja  ḳhashmagīñ  thī  magar  sharmgīñ  hai  ab
kyā  jaane  yaaro  kis  ke  tasavvur  meñ  kho  gayā
dekhā  'jalālī'  ham  ne  sarāpā  hazīñ  hai  ab