chaak  dāman  bhī  huā  chāk-e-garebāñ  kī  tarah
aañkh  barse  hai  shab-e-ġham  abr-e-bārāñ  kī  tarah
vaa.e  qismat  chhā  ga.ī  ḳhāmoshī  dil  meñ  kis  qadar
bujh  gayā  huuñ  maiñ  charāġh-e-gor-e-vīrāñ  kī  tarah
us  gul-e-rā.anā  kī  ulfat  chhup  nahīñ  saktī  kabhī
ubhrā  hai  dāġh-e-vafā  mehr-e-daraḳhshāñ  kī  tarah
hai  karāmat  ishq  kī  pahuñchā  maiñ  bām-e-arsh  tak
goyā  ik  darvesh  huuñ  maiñ  ahl-e-irfāñ  kī  tarah
in  ke  va.ade  ne  mujhe  baḳhshā  hai  zauq-e-zindagī
khil  gayā  dil  ġhuncha-e-jashn-e-bahārāñ  kī  tarah
pūchh  mat  mujh  se  hai  kaisī  lazzat-e-soz-e-darūñ
jāñ-gudāzī  hai  mirī  sham-e-farozāñ  kī  tarah
ghar  nahīñ  daulat  nahīñ  hurmat  nahīñ  satvat  nahīñ
ham  bhī  kyā  āvāra  haiñ  gardūn-e-gardāñ  kī  tarah
mahfil-e-yārāñ  nahīñ  bazm-e-bahārāñ  bhī  nahīñ
ham  jiye  haiñ  sākin-e-shahr-e-ḳhamoshāñ  kī  tarah
bekasī  chashm-e-falak  ne  dam-ba-dam  dekhī  mirī
duniyā  meñ  aajiz  kahāñ  mujh  ḳhāna-vīrāñ  kī  tarah
afsar-e-ḳhūbāñ  'jalālī'  Thahrā  hai  jab  se  koī
gulshan-e-dil  zebā  hai  firdaus-e-rizvāñ  kī  tarah