bahut  rusvā  kyā  is  āshiqī  ne  har  galī  mujh  ko
liye  phirtī  rahī  har  jā  ye  merī  bekasī  mujh  ko
chhupā.e  se  nahīñ  chhuptī  haqīqat  khul  hī  jaatī  hai
sar-e-bāzār  le  aa.ī  mirī  dīvāngī  mujh  ko
ḳhabar  kyā  thī  yahī  ik  din  qayāmat  mujh  pe  Dhā.egī
pasand  aa.ī  thī  bachpan  meñ  tirī  ye  sādgī  mujh  ko
nigāh-e-nāz  ne  un  kī  mujhe  ik  armuġhāñ  baḳhshā
milā  darbār-e-ulfat  se  shu.ūr-e-zindagī  mujh  ko
dil-o-jān-o-jigar  qurbān  maiñ  ne  kar  diye  saare
rulātī  hī  rahī  akasr  tirī  begānagī  mujh  ko
'jalālī'  jāda-e-ulfat  meñ  jab  se  hai  qadam  rakkhā
rahī  un  ke  tasavvur  meñ  hamesha  bekalī  mujh  ko