ham  diloñ  ke  qurb  kā  muñh  dekhte  rah  jā.eñge
yaad  rah  jā.egī  yā  kuchh  ḳhvāb  se  rah  jā.eñge
is  tazabzub  meñ  mirī  mehnat  akārat  jā.egī
ḳhud  hī  vo  aa  jā.eñge  aur  ḳhat  likhe  rah  jā.eñge
ham  fasīl-e-āb-o-gil  meñ  dar  banāne  ke  liye
vaqt  ke  tah-ḳhāne  meñ  sar  pīTte  rah  jā.eñge
apne  chehre  takte  takte  phir  sahar  ho  jā.egī
kyā  kaheñ  ik  dūsre  ko  sochte  rah  jā.eñge
vo  mirā  ho  jā.egā  ai  'shāh'  āḳhir  ek  din
sochtā  huuñ  phir  bhī  us  se  kuchh  gile  rah  jā.eñge