phir  judā  hone  kā  manzar  aa  gayā  hai
aur  shab-e-hijrāñ  mirā  ghar  aa  gayā  hai
shahr  meñ  phir  barf-bārī  ho  rahī  hai
aa  bhī  jaao  ab  december  aa  gayā  hai
sūliyāñ  sunsān  hotī  jā  rahī  thiiñ
daar  kī  ḳhātir  mirā  sar  aa  gayā  hai
kyā  kahūñ  kyoñ  tere  andar  aa  gayā  huuñ
chaar  dīvārī  tirā  dar  aa  gayā  hai
merī  uñglī  ko  pakaḌ  kar  merā  bachcha
mere  qāmat  ke  barābar  aa  gayā  hai
bhar  ga.ī  hai  shahd  kī  muñh  meñ  miThās
naam  ye  kis  kā  laboñ  par  aa  gayā  hai