ye  ishq  ne  dekhā  hai  ye  aql  se  pinhāñ  hai
qatre  meñ  samundar  hai  zarre  meñ  bayābāñ  hai
hai  ishq  ki  mahshar  meñ  yuuñ  mast  o  ḳhirāmāñ  hai
dozaḳh  ba-garebāñ  hai  firdaus  ba-dāmāñ  hai
hai  ishq  kī  shorish  se  rānā.ī  o  zebā.ī
jo  ḳhuun  uchhaltā  hai  vo  rañg-e-gulistāñ  hai
phir  garm-e-navāzish  hai  zau  mehr-e-daraḳhshāñ  kī
phir  qatra-e-shabnam  meñ  hañgāma-e-tūfāñ  hai
ai  paikar-e-mahbūbī  maiñ  kis  se  tujhe  dekhūñ
jis  ne  tujhe  dekhā  hai  vo  dīda-e-hairāñ  hai
sau  baar  tirā  dāman  hāthoñ  meñ  mire  aayā
jab  aañkh  khulī  dekhā  apnā  hī  garebāñ  hai
ik  shorish-e-be-vasl  ik  ātish-e-be-parda
āfat-kada-e-dil  meñ  ab  kufr  na  īmāñ  hai
dhokā  hai  ye  nazroñ  kā  bāzīcha  hai  lazzat  kā
jo  kunj  qafas  meñ  thā  vo  asl  gulistāñ  hai
ik  ġhuncha-e-afsurda  ye  dil  kī  haqīqat  thī
ye  maujzanī  ḳhuuñ  kī  rañgīni-e-paikāñ  hai
ye  husn  kī  maujeñ  haiñ  yā  josh-e-tabassum  hai
us  shoḳh  ke  hoñToñ  par  ik  barq  sī  larzāñ  hai
'asġhar'  se  mile  lekin  'asġhar'  ko  nahīñ  dekhā
ash.ār  meñ  sunte  haiñ  kuchh  kuchh  vo  numāyāñ  hai