matā-e-zīst  kyā  ham  ziist  kā  hāsil  samajhte  haiñ
jise  sab  dard  kahte  haiñ  use  ham  dil  samajhte  haiñ
isī  se  dil  isī  se  zindagi-e-dil  samajhte  haiñ
magar  hāsil  se  baḌh  kar  sa.i-e-be-hāsil  samajhte  haiñ
kabhī  sunte  the  ham  ye  zindagī  hai  vahm  o  be-ma.anī
magar  ab  maut  ko  bhī  ḳhatra-e-bātil  samajhte  haiñ
bahut  samjhe  hue  hai  sheḳh  rāh-o-rasm-e-manzil  ko
yahāñ  manzil  ko  bhī  ham  jāda-e-manzil  samajhte  haiñ
ubharnā  ho  jahāñ  jī  chāhtā  hai  Duub  marne  ko
jahāñ  uThtī  hoñ  maujeñ  ham  vahāñ  sāhil  samajhte  haiñ
koī  sargashtā-e-rāh-e-tarīqat  is  ko  kyā  jaane
yahāñ  uftādgī  ko  hāsil-e-manzil  samajhte  haiñ
tamāshā  hai  niyāz  o  naaz  kī  bāham  kashākash  kā
maiñ  un  kā  dil  samajhtā  huuñ  vo  merā  dil  samajhte  haiñ
abas  hai  dāva-e-ishq-o-mohabbat  ḳhām-kāroñ  ko
ye  ġham  dete  haiñ  jis  ko  jauhar-e-qābil  samajhte  haiñ
ġham-e-lā-intihā  sa.i-e-musalsal  shauq-e-be-pāyāñ
maqām  apnā  samajhte  haiñ  na  ham  manzil  samajhte  haiñ