zauq-e-sarmastī  ko  mahv-e-rū-e-jānāñ  kar  diyā
kufr  ko  is  tarah  chamkāyā  ki  īmāñ  kar  diyā
tū  ne  ye  ejaaz  kyā  ai  soz-e-pinhāñ  kar  diyā
is  tarah  phūñkā  ki  āḳhir  jism  ko  jaañ  kar  diyā
jis  pe  merī  justujū  ne  Daal  rakkhe  the  hijāb
be-ḳhudī  ne  ab  use  mahsūs  o  uryāñ  kar  diyā
kuchh  na  ham  se  ho  sakā  is  iztirāb-e-shauq  meñ
un  ke  dāman  ko  magar  apnā  garebāñ  kar  diyā
go  nahīñ  rahtā  kabhī  parde  meñ  rāz-e-āshiqī
tum  ne  chhup  kar  aur  bhī  us  ko  numāyāñ  kar  diyā
rakh  diye  dair  o  haram  sar  mārne  ke  vāste
bandagī  ko  be-niyāz-e-kufr-o-īmāñ  kar  diyā
āriz-e-nāzuk  pe  un  ke  rañg  sā  kuchh  aa  gayā
in  guloñ  ko  chheḌ  kar  ham  ne  gulistāñ  kar  diyā
in  butoñ  kī  sūrat-e-zebā  ko  'asġhar'  kyā  kahūñ
par  ḳhudā  ne  vaa.e  nākāmī  musalmāñ  kar  diyā