Asghar Gondvi

pata nahin jo lazzat-e-ah-e-sahar ko main

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
paatā nahīñ jo lazzat-e-āh-e-sahar ko maiñ
phir kyā karūñgā le ke ilāhī asar ko maiñ
āshob-gāh-e-hashr mujhe kyuuñ ajiib ho
jab aaj dekhtā huuñ tirī rahguzar ko maiñ
aisā bhī ek jalva thā us meñ chhupā huā
us ruḳh pe dekhtā huuñ ab apnī nazar ko maiñ
jiinā bhī aa gayā mujhe marnā bhī aa gayā
pahchānñe lagā huuñ tumhārī nazar ko maiñ
vo shoḳhiyoñ se jalva dikhā kar to chal diye
un kī ḳhabar ko jā.ūñ ki apnī ḳhabar ko maiñ
aahoñ ne merī ḳhirman-e-hastī jalā diyā
kyā muñh dikhā.ūñgā tirī barq-e-nazar ko maiñ
baaqī nahīñ jo lazzat-e-bedāri-e-fanā
phir kyā karūñgā zindagi-e-be-asar ko maiñ
'asġhar' mujhe junūñ nahīñ lekin ye haal hai
ghabrā rahā huuñ dekh ke dīvār-o-dar ko maiñ
Top Urdushayar.com