paatā  nahīñ  jo  lazzat-e-āh-e-sahar  ko  maiñ
phir  kyā  karūñgā  le  ke  ilāhī  asar  ko  maiñ
āshob-gāh-e-hashr  mujhe  kyuuñ  ajiib  ho
jab  aaj  dekhtā  huuñ  tirī  rahguzar  ko  maiñ
aisā  bhī  ek  jalva  thā  us  meñ  chhupā  huā
us  ruḳh  pe  dekhtā  huuñ  ab  apnī  nazar  ko  maiñ
jiinā  bhī  aa  gayā  mujhe  marnā  bhī  aa  gayā
pahchānñe  lagā  huuñ  tumhārī  nazar  ko  maiñ
vo  shoḳhiyoñ  se  jalva  dikhā  kar  to  chal  diye
un  kī  ḳhabar  ko  jā.ūñ  ki  apnī  ḳhabar  ko  maiñ
aahoñ  ne  merī  ḳhirman-e-hastī  jalā  diyā
kyā  muñh  dikhā.ūñgā  tirī  barq-e-nazar  ko  maiñ
baaqī  nahīñ  jo  lazzat-e-bedāri-e-fanā
phir  kyā  karūñgā  zindagi-e-be-asar  ko  maiñ
'asġhar'  mujhe  junūñ  nahīñ  lekin  ye  haal  hai
ghabrā  rahā  huuñ  dekh  ke  dīvār-o-dar  ko  maiñ