ḳhudā  jaane  kahāñ  hai  'asġhar'-e-dīvāna  barsoñ  se
ki  us  ko  DhūñDhte  haiñ  kaaba  o  but-ḳhāna  barsoñ  se
taḌapnā  hai  na  jalnā  hai  na  jal  kar  ḳhaak  honā  hai
ye  kyuuñ  soī  huī  hai  fitrat-e-parvāna  barsoñ  se
koī  aisā  nahīñ  yā  rab  ki  jo  is  dard  ko  samjhe
nahīñ  mālūm  kyuuñ  ḳhāmosh  hai  dīvāna  barsoñ  se
kabhī  soz-e-tajallī  se  use  nisbat  na  thī  goyā
paḌī  hai  is  tarah  ḳhākistar-e-parvāna  barsoñ  se
tire  qurbān  saaqī  ab  vo  mauj-e-zindagī  kaisī
nahīñ  dekhī  adā-e-laġhzish-e-mastāna  barsoñ  se
mirī  rindī  ajab  rindī  mirī  mastī  ajab  mastī
ki  sab  TuuTe  paḌe  haiñ  shīsha  o  paimāna  barsoñ  se
hasīnoñ  par  na  rañg  aayā  na  phūloñ  meñ  bahār  aa.ī
nahīñ  aayā  jo  lab  par  naġhma-e-mastāna  barsoñ  se
khulī  āñkhoñ  se  huuñ  husn-e-haqīqat  dekhne  vaalā
huī  lekin  na  taufīq-e-dar-e-but-ḳhāna  barsoñ  se
libās-e-zohad  par  phir  kaash  nazr-e-ātish-e-sahbā
kahāñ  khoī  huī  hai  jur.at-e-rindāna  barsoñ  se
jise  lenā  ho  aa  kar  us  se  ab  dars-e-junūñ  le  le
sunā  hai  hosh  meñ  hai  'asġhar'-e-dīvāna  barsoñ  se