ye  kyā  kahā  ki  ġham-e-ishq  nāgavār  huā
mujhe  tū  jur.a-e-talḳh  aur  sāzgār  huā
sarishk-e-shauq  kā  vo  ek  qatra-e-nāchīz
uchhālnā  thā  ki  ik  bahar-e-be-kanār  huā
adā-e-ishq  kī  tasvīr  khiñch  ga.ī  puurī
vufūr-e-josh  se  yuuñ  husn  be-qarār  huā
bahut  latīf  ishāre  the  chashm-e-sāqī  ke
na  maiñ  huā  kabhī  be-ḳhud  na  hushyār  huā
liye  phirī  nigah-e-shauq  saare  aalam  meñ
bahut  hī  jalva-e-husn  aaj  be-qarār  huā
jahāñ  bhī  merī  nigāhoñ  se  ho  chalā  mādūm
are  baḌā  ġhazab  ai  chashm  sehr-kār  huā
mirī  nigāhoñ  ne  jhuk  jhuk  ke  kar  diye  sajde
jahāñ  jahāñ  se  taqāzā-e-husn-e-yār  huā