ālām-e-rozgār  ko  āsāñ  banā  diyā
jo  ġham  huā  use  ġham-e-jānāñ  banā  diyā
maiñ  kāmyāb-e-dīd  bhī  mahrūm-e-dīd  bhī
jalvoñ  ke  izhdihām  ne  hairāñ  banā  diyā
yuuñ  muskurā.e  jaan  sī  kaliyoñ  meñ  paḌ  ga.ī
yuuñ  lab-kushā  hue  ki  gulistāñ  banā  diyā
kuchh  shorishoñ  kī  nazr  huā  ḳhūn-e-āshiqāñ
kuchh  jam  ke  rah  gayā  use  hirmāñ  banā  diyā
ai  shaiḳh  vo  basīt  haqīqat  hai  kufr  kī
kuchh  qaid-e-rasm  ne  jise  īmāñ  banā  diyā
kuchh  aag  dī  havas  meñ  to  tāmīr-e-ishq  kī
jab  ḳhaak  kar  diyā  use  irfāñ  banā  diyā
kyā  kyā  quyūd  dahr  meñ  haiñ  ahl-e-hosh  ke
aisī  fazā-e-sāf  ko  zindāñ  banā  diyā
ik  barq  thī  zamīr  meñ  fitrat  ke  maujzan
aaj  us  ko  husn  o  ishq  kā  sāmāñ  banā  diyā
majbūri-e-hayāt  meñ  rāz-e-hayāt  hai
zindāñ  ko  maiñ  ne  rauzan-e-zindāñ  banā  diyā
vo  shorisheñ  nizām-e-jahāñ  jin  ke  dam  se  hai
jab  muḳhtasar  kiyā  unheñ  insāñ  banā  diyā
ham  us  nigāh-e-nāz  ko  samjhe  the  neshtar
tum  ne  to  muskurā  ke  rag-e-jāñ  banā  diyā
bulbul  ba-āh-o-nāla  va  gul  mast-e-rañg-o-bū
mujh  ko  shahīd-e-rasm-e-gulistāñ  banā  diyā
kahte  haiñ  ik  fareb-e-musalsal  hai  zindagī
us  ko  bhī  vaqf-e-hasrat-o-hirmāñ  banā  diyā
aalam  se  be-ḳhabar  bhī  huuñ  aalam  meñ  bhī  huuñ  maiñ
saaqī  ne  is  maqām  ko  āsāñ  banā  diyā
us  husn-e-kārobār  ko  mastoñ  se  pūchhiye
jis  ko  fareb-e-hosh  ne  isyāñ  banā  diyā