yuuñ  na  māyūs  ho  ai  shorish-e-nākām  abhī
merī  rag  rag  meñ  hai  ik  ātish-e-benām  abhī
āshiqī  kyā  hai  har  ik  shai  se  tahī  ho  jaanā
us  se  milne  kī  hai  dil  meñ  havas-e-ḳhām  abhī
intihā  kaif  kī  uftādgī  o  pastī  hai
mujh  se  kahtā  thā  yahī  durd-e-tah-e-jām  abhī
ilm  o  hikmat  kī  tamannā  hai  na  kaunain  kā  ġham
mere  shīshe  meñ  hai  baaqī  mai-e-gulfām  abhī
sab  maze  kar  diye  ḳhurshīd-e-qayāmat  ne  ḳharāb
merī  āñkhoñ  meñ  thā  ik  rū-e-dilārām  abhī
bulbul-e-zār  se  go  sehn-e-chaman  chhūT  gayā
us  ke  siine  meñ  hai  ik  shola-e-gulfām  abhī