ik  ālam-e-hairat  hai  fanā  hai  na  baqā  hai
hairat  bhī  ye  hairat  hai  ki  kyā  jāniye  kyā  hai
sau  baar  jalā  hai  to  ye  sau  baar  banā  hai
ham  soḳhta-jānoñ  kā  nasheman  bhī  balā  hai
hoñToñ  pe  tabassum  hai  ki  ik  barq-e-balā  hai
āñkhoñ  kā  ishāra  hai  ki  sailāb-e-fanā  hai
suntā  huuñ  baḌe  ġhaur  se  afsāna-e-hastī
kuchh  ḳhvāb  hai  kuchh  asl  hai  kuchh  tarz-e-adā  hai
hai  tere  tasavvur  se  yahāñ  nuur  kī  bārish
ye  jān-e-hazīñ  hai  ki  shabistān-e-hirā  hai