mai-e-be-rañg  kā  sau  rañg  se  rusvā  honā
kabhī  mai-kash  kabhī  saaqī  kabhī  miinā  honā
az  azal  tā-ba  abad  mahv-e-tamāshā  honā
maiñ  vo  huuñ  jisko  na  marnā  hai  na  paidā  honā
saare  aalam  meñ  hai  betābī  o  shorish  barpā
haa.e  us  shoḳh  kā  ham-shakl-e-tamannā  honā
fasl-e-gul  kyā  hai  ye  merāj  hai  aab  o  gil  kī
merī  rag  rag  ko  mubārak  rag-e-saudā  honā
keh  ke  kuchh  laala  o  gul  rakh  liyā  parda  maiñ  ne
mujhse  dekhā  na  gayā  husn  kā  rusvā  honā
jalva-e-husn  ko  hai  chashm-e-tahayyur  kī  talab
kis  kī  qismat  meñ  hai  mahrūm-e-tamāshā  honā
dahr  hī  se  vo  numāyāñ  bhī  hai  pinhāñ  bhī  hai
jaise  sahbā  ke  liye  parda-e-mīnā  honā
terī  shoḳhī  terī  nairañg  adaa.ī  ke  nisār
ik  na.ī  jaan  hai  tajdīd-e-tamannā  honā
husn  ke  saath  hai  begāna-nigāhī  kā  maza
qahr  hai  qahr  magar  arz-e-tamannā  honā
is  se  baḌh  kar  koī  be-rāh-ravī  kyā  hogī
gām-e-pur-shauq  kā  manzil  se  shanāsā  honā
mā.il-e-sher-o-ġhazal  phir  hai  tabī.at  'asġhar'
abhī  kuchh  aur  muqaddar  meñ  hai  rusvā  honā