Asghar Gondvi

ek aisi bhi tajalli aaj mai-KHane mein hai

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
ek aisī bhī tajallī aaj mai-ḳhāne meñ hai
lutf piine meñ nahīñ hai balki kho jaane meñ hai
ma.ani-e-ādam kujā aur sūrat-e-ādam kujā
ye nihāñ-ḳhāne meñ thā ab tak nihāñ-ḳhāne meñ hai
ḳhirman-e-bulbul to phūñkā ishq-e-ātish-rañg ne
rañg ko shola banā kar kaun parvāne meñ hai
jalva-e-husn-e-parastish garmi-e-husn-e-niyāz
varna kuchh kaabe meñ rakkhā hai na but-ḳhāne meñ hai
rind ḳhālī haath baiThe haiñ uḌā kar juzv o kul
ab na kuchh shīshe meñ hai baaqī na paimāne meñ hai
maiñ ye kahtā huuñ fanā ko bhī atā kar zindagī
tū kamāl-e-zindagī kahtā hai mar jaane meñ hai
jis pe but-ḳhāna tasadduq jis pe kaaba bhī nisār
ek sūrat aisī bhī sunte haiñ but-ḳhāne meñ hai
kyā bahār-e-naqsh-e-pā hai ai niyāz-e-āshiqī
lutf sar rakhne meñ kyā sar rakh ke mar jaane meñ hai
be-ḳhudī meñ dekhtā huuñ be-niyāzī kī adā
kyā fanā-e-zindagī ḳhud husn ban jaane meñ hai
Top Urdushayar.com