Asghar Gondvi

aks kis chiz ka aaina-e-hairat mein nahin

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
aks kis chiiz kā ā.īna-e-hairat meñ nahīñ
terī sūrat meñ hai kyā jo merī sūrat meñ nahīñ
donoñ aalam tirī nairañg adaa.ī ke nisār
ab koī chiiz yahāñ jeb-e-mohabbat meñ nahīñ
daulat-e-qurb ko ḳhasān-e-mohabbat jāneñ
chand ashkoñ ke sivā kuchh merī qismat meñ nahīñ
log marte bhī haiñ jiite bhī haiñ betāb bhī haiñ
kaun sā sehr tirī chashm-e-ināyat meñ nahīñ
sab se ik tarz judā sab se ik āhañg judā
rañg mahfil meñ tirā jo hai vo ḳhalvat meñ nahīñ
nashsha-e-ishq meñ har chiiz uḌī jaatī hai
kaun zarra hai ki sarshār mohabbat meñ nahīñ
dāva-e-dīd ġhalat dāva-e-irfāñ bhī ġhalat
kuchh tajallī ke sivā chashm-e-basīrat meñ nahīñ
ho ga.ī jamā matā-e-ġham-e-hirmāñ kyūñkar
maiñ samajhtā thā koī parda-e-ġhaflat meñ nahīñ
zarre zarre meñ kiyā josh-e-tarannum paidā
ḳhud magar koī navā sāz-e-mohabbat meñ nahīñ
najd kī samt se ye shor-e-anā-lailā kyuuñ
shoḳhī-e-husn agar parda-e-vahshat meñ nahīñ
Top Urdushayar.com