Asghar Gondvi

raqs-e-masti dekhte josh-e-tamanna dekhte

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
raqs-e-mastī dekhte josh-e-tamannā dekhte
sāmne lā kar tujhe apnā tamāshā dekhte
kam se kam husn-e-taḳhyyul kā tamāshā dekhte
jalva-e-yūsuf to kyā ḳhvāb-e-zuleḳhā dekhte
kuchh samajh kar ham ne rakkhā hai hijāb-e-deher ko
toḌ kar shīshe ko phir kyā rañg-e-sahbā dekhte
roz-e-raushan yā shab-e-mahtāb yā sub.h-e-chaman
ham jahāñ se chāhte vo rū-e-zebā dekhte
qalb par girtī taḌap kar phir vahī barq-e-jamāl
har bun-e-mū meñ vahī āshob o ġhauġhā dekhte
sad-zamāñ o sad-makāñ o īñ-jahāñ o āñ-jahāñ
tum na aa jaate to ham vahshat meñ kyā kyā dekhte
is tarah kuchh rañg bhar jaatā nigāh-e-shauq meñ
jalva ḳhud betāb ho jaatā vo parda dekhte
jin ko apnī shoḳhiyoñ par aaj itnā naaz hai
vo kisī din merī jān-e-nā-shakebā dekhte
mai-kade meñ zindagī hai shor-e-noshā-nosh hai
miT ga.e hote agar ham jaam o miinā dekhte
Top Urdushayar.com