raqs-e-mastī  dekhte  josh-e-tamannā  dekhte
sāmne  lā  kar  tujhe  apnā  tamāshā  dekhte
kam  se  kam  husn-e-taḳhyyul  kā  tamāshā  dekhte
jalva-e-yūsuf  to  kyā  ḳhvāb-e-zuleḳhā  dekhte
kuchh  samajh  kar  ham  ne  rakkhā  hai  hijāb-e-deher  ko
toḌ  kar  shīshe  ko  phir  kyā  rañg-e-sahbā  dekhte
roz-e-raushan  yā  shab-e-mahtāb  yā  sub.h-e-chaman
ham  jahāñ  se  chāhte  vo  rū-e-zebā  dekhte
qalb  par  girtī  taḌap  kar  phir  vahī  barq-e-jamāl
har  bun-e-mū  meñ  vahī  āshob  o  ġhauġhā  dekhte
sad-zamāñ  o  sad-makāñ  o  īñ-jahāñ  o  āñ-jahāñ
tum  na  aa  jaate  to  ham  vahshat  meñ  kyā  kyā  dekhte
is  tarah  kuchh  rañg  bhar  jaatā  nigāh-e-shauq  meñ
jalva  ḳhud  betāb  ho  jaatā  vo  parda  dekhte
jin  ko  apnī  shoḳhiyoñ  par  aaj  itnā  naaz  hai
vo  kisī  din  merī  jān-e-nā-shakebā  dekhte
mai-kade  meñ  zindagī  hai  shor-e-noshā-nosh  hai
miT  ga.e  hote  agar  ham  jaam  o  miinā  dekhte