Asghar Gondvi

asrar-e-ishq hai dil-e-muztar liye hue

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
asrār-e-ishq hai dil-e-muztar liye hue
qatra hai be-qarār samundar liye hue
āshob-e-dahr o fitna-e-mahshar liye hue
pahlū meñ ya.anī ho dil-e-muztar liye hue
mauj-e-nashīm-e-sub.h ke qurbān jā.iye
aa.ī hai bū-e-zulf-e-mo.ambar liye hue
kyā mastiyāñ chaman meñ haiñ josh-e-bahār se
har shāḳh-e-gul hai haath meñ sāġhar liye hue
qātil nigāh-e-yās kī zad se na bach sakā
ḳhanjar the ham bhī ik tah-e-ḳhanjar liye hue
ḳhīra kiye hai chashm-e-haqīqat-shanās bhī
har zarra ek mehr-e-munavvar liye hue
pahlī nazar bhī aap kī uff kis balā kī thī
ham aaj tak vo choT haiñ dil par liye hue
tasvīr hai khiñchī huī nāz-o-niyāz kī
maiñ sar jhukā.e aur vo ḳhanjar liye hue
sahbā-e-tund-o-tez ko saaqī sambhālnā
uchhle kahīñ na shīsha-o-sāġhar liye hue
maiñ kyā kahūñ kahāñ hai mohabbat kahāñ nahīñ
rag rag meñ dauḌī phirtī hai nashtar liye hue
naam un kā aa gayā kahīñ hañgām-e-bāz-purs
ham the ki uḌ ga.e saf-e-mehshar liye hue
'asġhar' harīm-e-ishq meñ hastī hī jurm hai
rakhnā kabhī na paañv yahāñ sar liye hue
Top Urdushayar.com