asrār-e-ishq  hai  dil-e-muztar  liye  hue
qatra  hai  be-qarār  samundar  liye  hue
āshob-e-dahr  o  fitna-e-mahshar  liye  hue
pahlū  meñ  ya.anī  ho  dil-e-muztar  liye  hue
mauj-e-nashīm-e-sub.h  ke  qurbān  jā.iye
aa.ī  hai  bū-e-zulf-e-mo.ambar  liye  hue
kyā  mastiyāñ  chaman  meñ  haiñ  josh-e-bahār  se
har  shāḳh-e-gul  hai  haath  meñ  sāġhar  liye  hue
qātil  nigāh-e-yās  kī  zad  se  na  bach  sakā
ḳhanjar  the  ham  bhī  ik  tah-e-ḳhanjar  liye  hue
ḳhīra  kiye  hai  chashm-e-haqīqat-shanās  bhī
har  zarra  ek  mehr-e-munavvar  liye  hue
pahlī  nazar  bhī  aap  kī  uff  kis  balā  kī  thī
ham  aaj  tak  vo  choT  haiñ  dil  par  liye  hue
tasvīr  hai  khiñchī  huī  nāz-o-niyāz  kī
maiñ  sar  jhukā.e  aur  vo  ḳhanjar  liye  hue
sahbā-e-tund-o-tez  ko  saaqī  sambhālnā
uchhle  kahīñ  na  shīsha-o-sāġhar  liye  hue
maiñ  kyā  kahūñ  kahāñ  hai  mohabbat  kahāñ  nahīñ
rag  rag  meñ  dauḌī  phirtī  hai  nashtar  liye  hue
naam  un  kā  aa  gayā  kahīñ  hañgām-e-bāz-purs
ham  the  ki  uḌ  ga.e  saf-e-mehshar  liye  hue
'asġhar'  harīm-e-ishq  meñ  hastī  hī  jurm  hai
rakhnā  kabhī  na  paañv  yahāñ  sar  liye  hue