pās-e-adab  meñ  josh-e-tamannā  liye  hue
maiñ  bhī  huuñ  ik  hubāb  meñ  dariyā  liye  hue
rag  rag  meñ  aur  kuchh  na  rahā  juz  ḳhayāl-e-dost
us  shoḳh  ko  huuñ  aaj  sarāpā  liye  hue
sarmāya-e-hayāt  hai  hirmān-e-āshiqī
hai  saath  ek  sūrat-e-zebā  liye  hue
josh-e-junūñ  meñ  chhūT  gayā  āstān-e-yār
rote  haiñ  muñh  meñ  dāman-e-sahrā  liye  hue
'asġhar'  hujūm-e-dard-e-ġharībī  meñ  us  kī  yaad
aa.ī  hai  ek  tilismī  tamannā  liye  hue