maujoñ  kā  aks  hai  ḳhat-e-jām-e-sharāb  meñ
yā  ḳhuun  uchhal  rahā  hai  rag-e-māhtāb  meñ
vo  maut  ki  kahte  haiñ  jis  ko  sukūn  sab
vo  ain  zindagī  hai  jo  hai  iztirāb  meñ
dozaḳh  bhī  ek  jalva-e-fidaus-e-husn  hai
jo  us  se  be-ḳhabar  hai  vahī  hai  azaab  meñ
us  din  bhī  merī  ruuh  thī  mahv-e-nashāt-e-dīd
muusā  ulajh  ga.e  the  savāl  o  javāb  meñ
maiñ  iztirāb-e-shauq  kahūñ  yā  jamāl-e-dost
ik  barq  hai  jo  kauñdh  rahī  hai  naqāb  meñ