jān-e-nashāt  husn  kī  duniyā  kaheñ  jise
jannat  hai  ek  ḳhūn-e-tamannā  kaheñ  jise
us  jalva-gāh-e-husn  meñ  chhāyā  hai  har  taraf
aisā  hijāb  chashm-e-tamāshā  kaheñ  jise
ye  asl  zindagī  hai  ye  jān-e-hayāt  hai
husn-e-mazāq  shorish-e-saudā  kaheñ  jise
mere  vida-e-hosh  ko  itnā  bhī  hai  bahut
ye  aab  o  rañg  husn  kā  parda  kaheñ  jise
aksar  rahā  hai  husn-e-haqīqat  bhī  sāmne
ik  mustaqil  sarāb-e-tamannā  kaheñ  jise
ab  tak  tamām  fikr  o  nazar  par  muhīt  hai
shakl-e-sifāt  māni-e-ashiyā  kaheñ  jise
har  mauj  kī  vo  shaan  hai  jām-e-sharāb  meñ
barq-e-fazā-e-vadi-e-sīnā  kaheñ  jise
zindāniyoñ  ko  aa  ke  na  chheḌā  kare  bahut
jān-e-bahār  nik.hat-e-rusvā  kaheñ  jise
is  haul-e-dil  se  garm-rau-e-arsa-e-vajūd
merā  hī  kuchh  ġhubār  hai  duniyā  kaheñ  jise
sarmastiyoñ  meñ  shīsha-e-mai  le  ke  haath  meñ
itnā  uchhāl  deñ  ki  surayyā  kaheñ  jise
shāyad  mire  sivā  koī  us  ko  samajh  sake
vo  rabt-e-ḳhās  ranjish-e-bejā  kaheñ  jise
merī  nigāh-e-shauq  pe  ab  tak  hai  mun.akis
husn-e-ḳhayāl  shāhid-e-zebā  kaheñ  jise
dil  jalva-gāh-e-husn  banā  faiz-e-ishq  se
vo  daaġh  hai  ki  shāhid-e-rānā  kaheñ  jise
'asġhar'  na  kholnā  kisī  hikmat-ma.āb  par
rāz-e-hayāt  sāġhar  o  miinā  kaheñ  jise