ishq  hai  ik  kaif-e-pinhānī  magar  ranjūr  hai
husn-e-be-pardā  nahīñ  hotā  magar  dastūr  hai
ḳhastagī  ne  kar  diyā  us  ko  rag-e-jāñ  se  qarīb
justujū  zālim  kahe  jaatī  thī  manzil  duur  hai
le  isī  zulmat-kade  meñ  us  se  mahrūmī  kī  daad
us  se  aage  ai  dil-e-muztar  hijāb-e-nūr  hai
lab  pe  mauj-e-husn  jab  chamke  tabassum  naam  ho
rabbī-arenī  kah  ke  chīḳh  uThūñ  tū  barq-e-tūr  hai
nuur  āñkhoñ  meñ  usī  kā  jalva  ḳhud  nūr-e-muhīt
diid  kyā  hai  kuchh  talātum  meñ  hujūm-e-nūr  hai
aañkh  hai  jab  mahv-e-hairat  to  numāyāñ  hai  vahī
fikr  ho  jab  kār-farmā  to  vahī  mastūr  hai
dekhtā  huuñ  maiñ  ki  hai  bahr-e-haqīqat  josh  par
jo  hubāb  uTh  uTh  ke  miTtā  hai  sar-e-mansūr  hai