sāmne  un  ke  taḌap  kar  is  tarah  fariyād  kī
maiñ  ne  puurī  shakl  dikhlā  dī  dil-e-nāshād  kī
ab  yahī  hai  vaj.h-e-taskīñ  ḳhātir-e-nāshād  kī
zindagī  maiñ  ne  dayār-e-husn  meñ  barbād  kī
hosh  par  bijlī  girī  āñkheñ  bhī  ḳhīra  ho  ga.iiñ
tum  to  kyā  the  ik  jhalak  sī  thī  tumhārī  yaad  kī
chal  diyā  majnūñ  to  sahrā  se  kisī  jānib  magar
ik  sadā  gūñjī  huī  hai  naala  o  fariyād  kī
naġhma-e-pur-dard  chheḌā  maiñ  ne  is  andāz  se
ḳhud-ba-ḳhud  mujh  par  nazar  paḌne  lagī  sayyād  kī
dil  huā  majbūr  jis  dam  ashk-e-hasrat  ban  gayā
ruuh  jab  taḌpī  to  sūrat  ban  ga.ī  fariyād  kī
is  harīm-e-quds  meñ  kyā  lafz  o  ma.anī  kā  guzar
phir  bhī  sab  bāteñ  pahuñchtī  haiñ  lab-e-fariyād  kī
tamtamā  uThe  vo  aariz  mere  arz-e-shauq  par
husn  jaag  uThā  vahīñ  jab  ishq  ne  fariyād  kī
āshiyāñ  meñ  ab  kisī  sūrat  nahīñ  paḌtā  hai  chain
thī  nazar  tāsīr  meñ  Duubī  huī  sayyād  kī
sher  meñ  rañgīni-e-josh-e-taḳhayyul  chāhiye
mujh  ko  'asġhar'  kam  hai  aadat  naala  o  fariyād  kī