tire  jalvoñ  ke  aage  himmat-e-sharh-o-bayāñ  rakh  dī
zabān-e-be-nigah  rakh  dī  nigāh-e-be-zabāñ  rakh  dī
miTī  jaatī  thī  bulbul  jalva-e-gul-hā-e-rañgīñ  par
chhupā  kar  kis  ne  in  pardoñ  meñ  barq-e-āshiyāñ  rakh  dī
niyāz-e-ishq  ko  samjhā  hai  kyā  ai  vā.iz-e-nādān
hazāroñ  ban  ga.e  ka.abe  jabīñ  maiñ  ne  jahāñ  rakh  dī
qafas  kī  yaad  meñ  ye  iztirāb-e-dil  ma.āz-allāh
ki  maiñ  ne  toḌ  kar  ek  ek  shāḳh-e-āshiyāñ  rakh  dī
karishme  husn  ke  pinhāñ  the  shāyad  raqs-e-bismil  meñ
bahut  kuchh  soch  kar  zālim  ne  teġh-e-ḳhūñ-fishāñ  rakh  dī
ilāhī  kyā  kiyā  tū  ne  ki  aalam  meñ  talātum  hai
ġhazab  kī  ek  musht-e-ḳhāk  zer-e-āsmāñ  rakh  dī