tū  ek  naam  hai  magar  sadā-e-ḳhvāb  kī  tarah
maiñ  ek  harf  huuñ  magar  nishān-e-āb  kī  tarah
mujhe  samajh  ki  maiñ  hī  asl  rāz-e-kā.enāt  huuñ
dharā  huuñ  tere  sāmne  khulī  kitāb  kī  tarah
maiñ  koī  giit  huuñ  magar  sadā  kī  bandishoñ  meñ  huuñ
mire  lahū  meñ  raag  hai  sam-e-azāb  kī  tarah
mirī  panāh-gāh  thī  unhī  ḳhalāoñ  meñ  kahīñ
maiñ  sat.h-e-āb  par  rahā  habāb-e-āb  kī  tarah
maiñ  'asġhar'-e-hazīñ  kabhī  kisī  ke  dostoñ  meñ  thā
vo  din  bhī  mujh  ko  yaad  haiñ  ḳhayāl-e-ḳhvāb  kī  tarah