vo  naġhma  bulbul-e-rañgīñ-navā  ik  baar  ho  jaa.e
kalī  kī  aañkh  khul  jaa.e  chaman  bedār  ho  jaa.e
nazar  vo  hai  jo  is  kaun  o  makāñ  se  paar  ho  jaa.e
magar  jab  rū-e-tābāñ  par  paḌe  bekār  ho  jaa.e
tabassum  kī  adā  se  zindagī  bedār  ho  jaa.e
nazar  se  chheḌ  de  rag  rag  mirī  hushyār  ho  jaa.e
tajallī  chehra-e-zebā  kī  ho  kuchh  jām-e-rañgīñ  kī
zamīñ  se  āsmāñ  tak  ālam-e-anvār  ho  jaa.e
tum  us  kāfir  kā  zauq-e-bandagī  ab  pūchhte  kyā  ho
jise  tāq-e-haram  bhī  abrū-e-ḳhamdār  ho  jaa.e
sahar  lā.egī  kyā  paiġhām-e-bedārī  shabistāñ  meñ
naqāb-e-ruḳh  ulaT  do  ḳhud  sahar  bedār  ho  jaa.e
ye  iqrār-e-ḳhudī  hai  dāva-e-īmān-o-dīñ  kaisā
tirā  iqrār  jab  hai  ḳhud  se  bhī  inkār  ho  jaa.e
nazar  is  husn  par  Thahre  to  āḳhir  kis  tarah  Thahre
kabhī  ḳhud  phuul  ban  jaa.e  kabhī  ruḳhsār  ho  jaa.e
kuchh  aisā  dekh  kar  chup  huuñ  bahār-e-ālam-e-imkāñ
koī  ik  jaam  pī  kar  jis  tarah  sarshār  ho  jaa.e
chalā  jaatā  huuñ  hañstā  kheltā  mauj-e-havādis  se
agar  āsāniyāñ  hoñ  zindagī  dushvār  ho  jaa.e