mere  liye  duniyā  ke  qazāyā  ko  banāyā
tere  liye  āsā.ish-e-duniyā  ko  banāyā
mazrūf  se  taqdīm  kahāñ  zarf  ne  paa.ī
dil  ba.ad  banā  pahle  tamannā  ko  banāyā
hotā  chalā  aatā  hai  zamāna  tah-o-bālā
a.alā  ko  bigāḌā  kabhī  adnā  ko  banāyā
mai-ḳhāna-e-duniyā  meñ  hai  ifrāt-e-mai-e-izz
jhukne  ke  liye  gardan-e-mīnā  ko  banāyā
hai  guft-o-shunīd  aise  se  ai  'rashk'  ki  jis  ne
gosha-e-sunva-o-lab-e-goyā  ko  banāyā