Aslam Habeeb

luTi bahaar ka sukha gulab rahne do

Aslam Habeeb

luTī bahār kā sūkhā gulāb rahne do
hamārī āñkhoñ meñ koī to ḳhvāb rahne do
na.e sire se chalo koī ahd karte haiñ
vafā jafā kā purānā hisāb rahne do
tamām-umr guzārī hai in dayāroñ meñ
ḳhulūs hogā yahāñ dastiyāb rahne do
ḳhumār utrā nahīñ hai abhī to ashkoñ kā
abhī ye sāġhar-o-mīnā sharāb rahne do
uThā.e phirte ho kyā shahr-e-be-basīrat meñ
kise dikhāoge dil kī kitāb rahne do
abhī to ham pe purāne hī qarz baaqī haiñ
savāl kar ke na kahiye javāb rahne do
girā zarūr hai lekin mirā nahīñ 'aslam'
takallufāt muravvat janāb rahne do
Top Urdushayar.com