is  qadar  hasti-e-mauhūm  se  sharmātā  huuñ
zikr  jiine  kā  jo  aatā  hai  to  mar  jaatā  huuñ
maut  ne  kitne  bakheḌoñ  se  chhuḌāyā  mujh  ko
na  taḌaptā  huuñ  na  rotā  huuñ  na  chillātā  huuñ
kaam  mujh  se  nahīñ  hotā  koī  juz  jurm-o-gunāh
mehnat-e-kātib-e-a.amāl  se  sharmātā  huuñ
ek  ḳhat  yaar  ko  likhtā  huuñ  jo  betābī  meñ
dūsrā  kātib-e-a.amāl  se  likhvātā  huuñ
ek  hamdard  nahīñ  ālam-e-tanhā.ī  meñ
mujh  ko  samjhātā  hai  dil  dil  ko  maiñ  samjhātā  huuñ